Kyunki, Kavita kuchh kehti hai....

Wednesday, March 28, 2012


Ishq sabko Kyun nahi hota…



sach hai sab kuchh sach, phir bhi yakeen nahi hota...

dil tera dhadakta hai, saanse main leta hun...
hoth tere hilte hain, aur baatein main karta hun...
chot tujhe lagti to, dard mujhe hota hai...
saamne main khara hun, aks tera dikhta hain...

socho ishq itna hasin hai, to ye sabko kyun nahi hota...
sach hai sab kuchh sach, phir bhi yakeen nahi hota...


Ek Aam Aadmi (A common man)


Main ek aam aadmi hun, ek aam aadmi
jise har subah jagaati hai
bhookh aur zimmedaari
jise har subah le jaati hai
sadko pe, laachari

Main kyun jita, mujhe nahi pata
bas saansein hai, so chalni hai
main rishto mein kuchh aisa hun bandha
jo mile wo raah pakadani hai

haan hun darta main kismet se
phir bhi jhoothe muskata hun
jaane khud ko dhokha deta
ya zindagi ko behlata hun

Main ek aam aadmi hun
jo aam aadmi ki tarah janma hai, jeeta hai
aur ek aam aadmi ki tarah marega
Ye naseeb maine nahi likha,
ek aam aadmi ye likh bhi nahi sakta
Ye to tai hai,
Sadiyon se thi aur sadiyon tak rahegi
ek aam aadmi ki taqdir,
ek gumnaam aadmi ki taqdir

Tuesday, March 27, 2012


Kitne badnaseeb hain tere aansu



kitne badnaseeb hain tere aansu, 
saath tera jo chhod jaate hain.
aur ek hum hai jo teri chahat mein, 
pyaar ke afsaane naye banatein hain.
tere chehre ka noor kya samjhe, 
jo ek pal na thahar paatein hain.
jo tarashte hain tere didar ko unse puchho...[2]
tere ik aas mein palkon ko wo bichhaate hain...

haath lagate hi chhalak jaye...wo paimaana hai,
jo deewangee ko samjhe hai...wahi deewaana hai,
wo kya jaanege muhabbat cheez hai kya…[2]
jinki aankhon pe fulsafon ka samiyaana hai.
jindgi bhul kar jeene ka sukh unse puchho,
teri bekhudi mein jo din apne bitaaye jaate hain

gazal hai, geet hai, kavita hai ya kahani hai,
ishq hai kya bas behta hua sa paani hai.
jinhe mil jaaye wo khushnaseeb hain kum,
warna pyaasee hin yahan puri jindgani hai.
ishq ka mol un parvaano se puchho,
shama ki aarzoo mein jo khud ko jalaaye jate hain.
Ishq Ishq hai aur Ishq pe koi zor nahi,
jo ishq karte hain, wo bus yahee gungunaten hain.

kitne badnaseeb hain tere aansu, saath tera jo chhod jaate hain...


Kya ye Pyar hai…



hum kal bhi the...tum kal bhi the...
khush hum bhi the...khush tum bhi the...
phir aisaa kya ahsaas hai...
hum tum ki dooriyaan mitne mein aisa jaane kya khaash hai...
ki hum na hum rahen...tum na tum rahe...
hai subah mein nayee taazgi...
hai shaam mein nayee mastiyaan...
raaton mein chaand ke saayon mein...
khawon ki behti kashtiyaan...

kyun jindgi nayee lag rahi...
kyun na waqt ka mujhe khayaal hai...
kyun karvatein main badalti hun....
kyun mit rahe har sawaal hain...
kya ye pyar hai, mujhko bata...
jo main titliyon si hun ud rahi...
kal kal si nadiyon mein doobi hue...
madhosh lehron mein behti kahin...

haan ye pyar hai, hai mujhko pata...
ek pyaas sadiyon ki bujh gayee...
do aarzoo ke chiraag se...
gulshan ki shamma jal gayee...
hun main khush-naseeb ki mujhe tum mile...
aye humnashin, mere humsafar
anjaane ye bandhan bane rahen...
ab saath chalna mere umr bhad...


Hum-Tum



Is suhani rut mein, sirf hum aur tum,
chand bhi hai ruk gaya, raat gayee hai tham...
dhadak raha hai dil, paas aane ka mann hai,
tujhe chhoone ka, tujhme samaane ka mann hai...

najre jhuka ke baithi ho, kis baat ki hai jhijhak,
lo haath mera thaam lo, utha do ye palak...
kab tak rahogi anjaan tum pyaar ke ahsaas se,
ho jaane do hamein ek, ghulne do saanson ko saans se...

jo alfaz tere labon se agar nikalne ko ho bebas,
to rakh de mere labon pe, ye aise hin guftgu karle...
is raat ke tanhayee mein, ye khamosiyaan teri,
kahin ishq ke kaliyaan khilne se pehle hi na marle...

Monday, March 26, 2012


Kuchh daag ab bhi taaza hain...



Aaj aaine mein phir se, wo aks ubhar aayee...
dhundhlati us tasveer mein, kuchh rang ab bhi baki hain....
meri zindagi ke panne, aaj bhi bikhre hain....
yaadon ki pankhuriyon ke, kuchh daag ab bhi taaza hain...

Tanhaiyon ke jungle, khamosh sab khare hain....
udasiyon ke saaye, har or se bade hain...
sannate ki chaadar, aawaaz tarasti hai...
ek dhundh si hai phaili, main jisme kho raha hun...

kuchh pyaas si lagi hai, ek tis si jagi hai...
kuchh chubh raha hai under, khwabon ki kirchein hain shaayad...
jana mujhe kahan hai, bas pair chal rahein hain...
thokron ke zor par jo raah badal rahen hain...

Aaj shama kyun yun, mujhko jalaa rahi hai...
ye kiski hai awaaz jo paas bula rahi hai....
main bhaag raha kyunkar, parchhaiyon se darkar...
aye raat ab to aa jao, main tumme samaa jaoun...