Kyunki, Kavita kuchh kehti hai....

Thursday, April 08, 2021


महत्व (Importance)

 




महत्व

क्या कहाइसका महत्व नही

किसने कहाहाँकिसने कहा

ये क्या वक़्त है जहाँ शब्दों का कोई मोल नही

बस वक़्ता की पहचान है|

 

मेरी जीततुम्हारी जीतहमारी जीत

ये बातें गयी कबकी बीत

अपनी असफलता का पश्चाताप नही,

उनकी सफलता का संताप है|

 

समाज़ वो ग़लत नही

जहाँ अच्छे कर्म नही होते,

ग़लत वोजहाँ उन अच्छे कर्मों को

महत्व नही मिलते,

उन कर्मवीरों को पहचान नही मिलते,

उन कोशिशों को अंजाम नही मिलते,

जहाँ विचारों से उपर संबंध हैं,

जहाँ सच से उपर स्वार्थ है

 

और जहाँ ‘क्या कहाँ आपने’ से पहले प्रश्न है

कौन हो तुम’?





Mahatva (Importance)



Mahatva

Kya kaha, iska mahatva nahi

Kisne kaha…haan…kisne kaha

Ye kya waqt hai jahan shabdon ka koi mol nahi

bas waqta ki pehchaan hai

 

meri jeet, tumhaari jeet, humaari jeet

ye baatein gayee kabki beet

apni asafalta ka pashchatap nahi,

unki safalta ka santaap hai.

 

Samaaz wo galat nahi

Jahan achche karm nahi hote,

galat wo jahan un achche karmon ko

mahatva nahi milte,

un karmveeron ko pehchaan nahi milte,

un koshishon ko anjaam nahi milte,

jahan vichaaron se upar sambandh hain

jahan sach se upar swaarth hai

 

aur jahan ‘kya kahan aapne’ se pehle prashn hai

kaun ho tum’?



Sunday, April 04, 2021


Khwaab





 

Monday, March 08, 2021


O Meghdoot Kab Aaouge (O Meghdoot!! when thou shall come?)


Mahakavi Kalidas ko Samarpit...

(Dedicated to the great Poet Kalidas)

_________________________________________________________________________


Kab aaoge...


ghoonghat chehre pe kheenche,

haathon ko maathein se lagaaye,

ek banjaare premi ki aas dekhtee wo sookheen aankhein,

khaali aashmaan aur banjar-si dharti ke beech samay kaatate,

wo honth, palke jhapka, kuchh budbudaate,

aur kisi apratyaashit aagantuk ke aagaman ki aas liye,

har ek chhod nazar dauraate, thakte,

udas, nishwas, deewar se sir tikaaye, svayan se poochhte

ki kab aaoge...


O Meghdoot! kab aaoge?

wo vrishti sandesh kab laoge?


kya meri vyatha, vyatha nahi?

ya prem virah hin sab kuchh hai

dekho kaise marti bhoomi

jal bin til-til jalti bhoomi

kya panchhi-paudhon ka mol nahi?

ya prem praan par bhaari hai?


o thoda moh dikha jao

thoda raah bhatak kar aa jao

wo preyasi thodi-si roothegi

par usko tum ye batlaana

ki laankhon murjhaate jeevan ke liye

itna sa tyaag jaroori tha

jo aanshoon unke aur beh nikale

unse saanson ka behna jaroori tha


isse upar kya vinati-vinay

thodi karuna to barsaao

bas prem dua hin paaoge

O Meghdoot, jab aaoge!

O Meghddot kab aaoge?



_________________________________________________________________________

for Hindi script, read this

 



ओ मेघदूत कब आओगे (O Meghdoot!! when thou shall come?)

 

महाकवि कालिदास को समर्पित...

_______________________________________________________




कब आओगे...


घूँघट चेहरे पे खींचे, 

हाथों को माथे से लगाए,

एक बंजारे प्रेमी की आस देखती वो सुखी आँखें,

खाली आसमां औऱ बंजर-सी धरती के बीच समय काटते,

वो होंठ, पलके झपका, कुछ बुदबुदाते,

औऱ किसी अप्रत्याशित आगंतुक के आगमन की आस लिये हर एक छोड़ नजर दौड़ाते, थकते, 

उदास, निश्वास, दीवार से  सिर टिकाए, स्वयं से पूछते,

कि कब आओगे...


ओ मेघदूत! कब आओगे ?

वो वृष्टि संदेश कब लाओगे ?


क्या मेरी व्यथा, व्यथा नहीं ?

या प्रेम विरह हीं सब कुछ है ?

देखो कैसे मरती भूमि

जल बिन तिल तिल जलती भूमि

क्या पंछी-पौधों का मोल नहीं?

या प्रेम प्राण पर भारी है?


ओ थोड़ा मोह दिखा जाओ

थोड़ा राह भटक कर आ जाओ

वो प्रेयसी थोड़ी सी रुठेगी

पर उसको तुम ये बतलाना

कि लाखों मुरझाते जीवन के लिए

इतना सा त्याग जरूरी था

जो आंसू और उनके बह निकले

उनसे साँसो का बहना जरुरी था


इससे उपर क्या विनती-विनय

थोड़ी करुणा तो बरसाओ

बस प्रेम दुआ हीं पाओगे

ओ मेघदूत जब आओगे!

ओ मेघदूत कब आओगे?


____________________________________________________


for Hinglish script, read this


Tuesday, August 18, 2015


Nasihat - नसीहत

source: http://images.speakingtree.iimg.in/files/05-2014/180363/c81e728d9d4c2f636f067f89cc14862c_1401193417.jpg

"Humein Nasihat mat do. Hum jaise, waise bhale"
Nasihat, Pravachan, Updesh.
Meri samvednao ko diye kuchh upnaam
Meri bhavnao ke nikaale gaye kuchh arth
Shaayad ye meri kamzori hai ki dekhta hun unme main apne kal ka pratibimb
Aur sochta hun,
ki kaash koi hota mujhe bhi ye "Nasihat" dene wala
To shayad main bhi pa leta kuchh behtar, kuchh kam samay, kuchh kam galtiyon ke bina
Kaash koi hota kabhi khinch kar mujhe sahi raah dikhanewala
To main bhi pa leta sahi manzil, kuchh kam thokro ke bina


Phir ye bhi sochta hun, ki kya hai behtar, aur kya hai sahi manzil
Kyun itni aakulta sahi aur galat ki,
Kyun itni aaturta har waqt safal hone ki
Kyun itni adhirta har manzil pa jaane ki
Aur kyun itni mahtvata is chhudra jeevan path ki
Kaisi hain ye vidambna jisme ye man pis raha hai,
Khud ki bani zanjeeron mein bebas sa yun jakra hai


Kintu jo hai, jaisa hai, yehi hai mera vyaktitb,
issi soch mein hun main, issi soch se hun main
Parivartan sansaar ka niyam sahi,
Par har parivartan bhi to sahi nahi
Kyunki khud ko khokar, kuchh paya bhi to kya paya
Aur khud ko pakar, gar kuchh khoya bhi to kya khoya

Labels: , ,

Thursday, June 13, 2013


Ek Boond


Ek shaam, chaukhat pe baitha
main khawaab piro raha tha ki
ek baarish ki boond mere pairon se aa lagi
Maine puchha kaun hai tu
yun mujhse kyun hai aa lipti
wo dheere se muska kar boli
mera apna koi thaur kahan
kabhi nadiyaan mein, kabhi saagar mein
kabhi udkar upar baadal mein
aur aaj achaanak chhoda usko,
aa giri dharti ke aanchal mein
gar kismet ho, to mil jaoungi
main phir se behte paani mein
aur phir nadiya, saagar, baadal
yun hin chalti, zindegani mein


Khwaaish (Desire)


Ek dauṛ(race) hai kuchh paane ki, 
Kya chahiye pata nahi
Dusron ke aansuon pe, 
khushiyaan sabhi buni gayee

Phir bhi udaas hai ye dil, 
ghutan hai aur bechain man
Kabhi iss taraf, kabhi us taraf, 
hai daur thak gaya ye tan

Thukra diya jo paas tha, 
kuchh aur aur pane ko
Ab phans gaya bhanvar mein yun, 
nahi chhor koi jaane ko

Aye zindegi tu hin bata, 
kyun na-samajh itna hai dil
Ki kuchh aur paane ke liye, 
sab kuchh lutata jata hai,
Aur thak kar phir jo bhi mile, 
usme jhoothe muskurata hai

Zindegi ne kuchh soch kar, 
dheere se phir mujhse kaha,
Tu chahaton ko chhod de, 
aur dekh sab kuchh hai tera

Tu khwaishon ke dhund se, 
nikal ke saath chal zara
Hai Zindegi ye khushnuma, 
hai Zindegi ye khusnuma...


Zindagi Sifar hai (Life Sums up to Zero)



Zindagi Sifar hai, thi, aur rahegi...

jitne din, utni hin raatein
jitni dhoop, utni barsaatein
jitni khamoshi, utni hin baatein
jitni khushboo, utne hin kaaantein

jitni khushiyaan, utne gam hain
jitni chaahat, utni tadpan hain
jitni saanson mein hain aanhe
utni chalne ko hain raahein
jitni gulshan mein haryaali
hain utne hin daaman khaali
jitne maujon mein hain dhaare
utne sookhen se patwaare
jitni chaahat ki shitalta
utni nafrat ke angaarein

jitne gumsum si nigahein hain
utaa hin shor-e-sharaba hai
jitne bebas se rishte hain
utna hin jasn-e-bahara hai
jitni hai hansi, utne aanshu
phir bhi dil kyun na ye samjhe tu
ki ujaale mein chhipe hain andhiyaarein
har khushi mein dard ki hain lehrein
ek ghar to ek beghar bhi hai
hain jaam to sookhen lab bhi hain

ye waqt ki likhi kahaani hai
jisne kismet ke taraju mein
sabko hin barabar taul diya
ab jhoote aanshoo rokar bhi
kismat ko baithe kosh ke bhi
wahi paoge jo hai milti
kyunki,
Zindagi Sifar hai, thi, aur Sifar hin rahegi...

Wednesday, March 28, 2012


Ishq sabko Kyun nahi hota…



sach hai sab kuchh sach, phir bhi yakeen nahi hota...

dil tera dhadakta hai, saanse main leta hun...
hoth tere hilte hain, aur baatein main karta hun...
chot tujhe lagti to, dard mujhe hota hai...
saamne main khara hun, aks tera dikhta hain...

socho ishq itna hasin hai, to ye sabko kyun nahi hota...
sach hai sab kuchh sach, phir bhi yakeen nahi hota...


Ek Aam Aadmi (A common man)


Main ek aam aadmi hun, ek aam aadmi
jise har subah jagaati hai
bhookh aur zimmedaari
jise har subah le jaati hai
sadko pe, laachari

Main kyun jita, mujhe nahi pata
bas saansein hai, so chalni hai
main rishto mein kuchh aisa hun bandha
jo mile wo raah pakadani hai

haan hun darta main kismet se
phir bhi jhoothe muskata hun
jaane khud ko dhokha deta
ya zindagi ko behlata hun

Main ek aam aadmi hun
jo aam aadmi ki tarah janma hai, jeeta hai
aur ek aam aadmi ki tarah marega
Ye naseeb maine nahi likha,
ek aam aadmi ye likh bhi nahi sakta
Ye to tai hai,
Sadiyon se thi aur sadiyon tak rahegi
ek aam aadmi ki taqdir,
ek gumnaam aadmi ki taqdir

Tuesday, March 27, 2012


Kitne badnaseeb hain tere aansu



kitne badnaseeb hain tere aansu, 
saath tera jo chhod jaate hain.
aur ek hum hai jo teri chahat mein, 
pyaar ke afsaane naye banatein hain.
tere chehre ka noor kya samjhe, 
jo ek pal na thahar paatein hain.
jo tarashte hain tere didar ko unse puchho...[2]
tere ik aas mein palkon ko wo bichhaate hain...

haath lagate hi chhalak jaye...wo paimaana hai,
jo deewangee ko samjhe hai...wahi deewaana hai,
wo kya jaanege muhabbat cheez hai kya…[2]
jinki aankhon pe fulsafon ka samiyaana hai.
jindgi bhul kar jeene ka sukh unse puchho,
teri bekhudi mein jo din apne bitaaye jaate hain

gazal hai, geet hai, kavita hai ya kahani hai,
ishq hai kya bas behta hua sa paani hai.
jinhe mil jaaye wo khushnaseeb hain kum,
warna pyaasee hin yahan puri jindgani hai.
ishq ka mol un parvaano se puchho,
shama ki aarzoo mein jo khud ko jalaaye jate hain.
Ishq Ishq hai aur Ishq pe koi zor nahi,
jo ishq karte hain, wo bus yahee gungunaten hain.

kitne badnaseeb hain tere aansu, saath tera jo chhod jaate hain...


Kya ye Pyar hai…



hum kal bhi the...tum kal bhi the...
khush hum bhi the...khush tum bhi the...
phir aisaa kya ahsaas hai...
hum tum ki dooriyaan mitne mein aisa jaane kya khaash hai...
ki hum na hum rahen...tum na tum rahe...
hai subah mein nayee taazgi...
hai shaam mein nayee mastiyaan...
raaton mein chaand ke saayon mein...
khawon ki behti kashtiyaan...

kyun jindgi nayee lag rahi...
kyun na waqt ka mujhe khayaal hai...
kyun karvatein main badalti hun....
kyun mit rahe har sawaal hain...
kya ye pyar hai, mujhko bata...
jo main titliyon si hun ud rahi...
kal kal si nadiyon mein doobi hue...
madhosh lehron mein behti kahin...

haan ye pyar hai, hai mujhko pata...
ek pyaas sadiyon ki bujh gayee...
do aarzoo ke chiraag se...
gulshan ki shamma jal gayee...
hun main khush-naseeb ki mujhe tum mile...
aye humnashin, mere humsafar
anjaane ye bandhan bane rahen...
ab saath chalna mere umr bhad...


Hum-Tum



Is suhani rut mein, sirf hum aur tum,
chand bhi hai ruk gaya, raat gayee hai tham...
dhadak raha hai dil, paas aane ka mann hai,
tujhe chhoone ka, tujhme samaane ka mann hai...

najre jhuka ke baithi ho, kis baat ki hai jhijhak,
lo haath mera thaam lo, utha do ye palak...
kab tak rahogi anjaan tum pyaar ke ahsaas se,
ho jaane do hamein ek, ghulne do saanson ko saans se...

jo alfaz tere labon se agar nikalne ko ho bebas,
to rakh de mere labon pe, ye aise hin guftgu karle...
is raat ke tanhayee mein, ye khamosiyaan teri,
kahin ishq ke kaliyaan khilne se pehle hi na marle...