Kyunki, Kavita kuchh kehti hai....

Thursday, June 13, 2013


Ek Boond


Ek shaam, chaukhat pe baitha
main khawaab piro raha tha ki
ek baarish ki boond mere pairon se aa lagi
Maine puchha kaun hai tu
yun mujhse kyun hai aa lipti
wo dheere se muska kar boli
mera apna koi thaur kahan
kabhi nadiyaan mein, kabhi saagar mein
kabhi udkar upar baadal mein
aur aaj achaanak chhoda usko,
aa giri dharti ke aanchal mein
gar kismet ho, to mil jaoungi
main phir se behte paani mein
aur phir nadiya, saagar, baadal
yun hin chalti, zindegani mein


Khwaaish (Desire)


Ek dauá¹›(race) hai kuchh paane ki, 
Kya chahiye pata nahi
Dusron ke aansuon pe, 
khushiyaan sabhi buni gayee

Phir bhi udaas hai ye dil, 
ghutan hai aur bechain man
Kabhi iss taraf, kabhi us taraf, 
hai daur thak gaya ye tan

Thukra diya jo paas tha, 
kuchh aur aur pane ko
Ab phans gaya bhanvar mein yun, 
nahi chhor koi jaane ko

Aye zindegi tu hin bata, 
kyun na-samajh itna hai dil
Ki kuchh aur paane ke liye, 
sab kuchh lutata jata hai,
Aur thak kar phir jo bhi mile, 
usme jhoothe muskurata hai

Zindegi ne kuchh soch kar, 
dheere se phir mujhse kaha,
Tu chahaton ko chhod de, 
aur dekh sab kuchh hai tera

Tu khwaishon ke dhund se, 
nikal ke saath chal zara
Hai Zindegi ye khushnuma, 
hai Zindegi ye khusnuma...


Zindagi Sifar hai (Life Sums up to Zero)



Zindagi Sifar hai, thi, aur rahegi...

jitne din, utni hin raatein
jitni dhoop, utni barsaatein
jitni khamoshi, utni hin baatein
jitni khushboo, utne hin kaaantein

jitni khushiyaan, utne gam hain
jitni chaahat, utni tadpan hain
jitni saanson mein hain aanhe
utni chalne ko hain raahein
jitni gulshan mein haryaali
hain utne hin daaman khaali
jitne maujon mein hain dhaare
utne sookhen se patwaare
jitni chaahat ki shitalta
utni nafrat ke angaarein

jitne gumsum si nigahein hain
utaa hin shor-e-sharaba hai
jitne bebas se rishte hain
utna hin jasn-e-bahara hai
jitni hai hansi, utne aanshu
phir bhi dil kyun na ye samjhe tu
ki ujaale mein chhipe hain andhiyaarein
har khushi mein dard ki hain lehrein
ek ghar to ek beghar bhi hai
hain jaam to sookhen lab bhi hain

ye waqt ki likhi kahaani hai
jisne kismet ke taraju mein
sabko hin barabar taul diya
ab jhoote aanshoo rokar bhi
kismat ko baithe kosh ke bhi
wahi paoge jo hai milti
kyunki,
Zindagi Sifar hai, thi, aur Sifar hin rahegi...