Kyunki, Kavita kuchh kehti hai....

Tuesday, August 18, 2015


Nasihat - नसीहत

source: http://images.speakingtree.iimg.in/files/05-2014/180363/c81e728d9d4c2f636f067f89cc14862c_1401193417.jpg

"Humein Nasihat mat do. Hum jaise, waise bhale"
Nasihat, Pravachan, Updesh.
Meri samvednao ko diye kuchh upnaam
Meri bhavnao ke nikaale gaye kuchh arth
Shaayad ye meri kamzori hai ki dekhta hun unme main apne kal ka pratibimb
Aur sochta hun,
ki kaash koi hota mujhe bhi ye "Nasihat" dene wala
To shayad main bhi pa leta kuchh behtar, kuchh kam samay, kuchh kam galtiyon ke bina
Kaash koi hota kabhi khinch kar mujhe sahi raah dikhanewala
To main bhi pa leta sahi manzil, kuchh kam thokro ke bina


Phir ye bhi sochta hun, ki kya hai behtar, aur kya hai sahi manzil
Kyun itni aakulta sahi aur galat ki,
Kyun itni aaturta har waqt safal hone ki
Kyun itni adhirta har manzil pa jaane ki
Aur kyun itni mahtvata is chhudra jeevan path ki
Kaisi hain ye vidambna jisme ye man pis raha hai,
Khud ki bani zanjeeron mein bebas sa yun jakra hai


Kintu jo hai, jaisa hai, yehi hai mera vyaktitb,
issi soch mein hun main, issi soch se hun main
Parivartan sansaar ka niyam sahi,
Par har parivartan bhi to sahi nahi
Kyunki khud ko khokar, kuchh paya bhi to kya paya
Aur khud ko pakar, gar kuchh khoya bhi to kya khoya

Labels: , ,