Khwaaish (Desire)
Ek dauṛ(race) hai kuchh paane ki,
Kya chahiye pata nahi
Kya chahiye pata nahi
Dusron
ke aansuon pe,
khushiyaan sabhi buni gayee
khushiyaan sabhi buni gayee
Phir
bhi udaas hai ye dil,
ghutan hai aur bechain man
ghutan hai aur bechain man
Kabhi
iss taraf, kabhi us taraf,
hai daur thak gaya ye tan
hai daur thak gaya ye tan
Thukra
diya jo paas tha,
kuchh aur aur pane ko
kuchh aur aur pane ko
Ab phans gaya bhanvar mein yun,
nahi chhor koi jaane ko
nahi chhor koi jaane ko
Aye
zindegi tu hin bata,
kyun na-samajh itna hai dil
kyun na-samajh itna hai dil
Ki
kuchh aur paane ke liye,
sab kuchh lutata jata hai,
sab kuchh lutata jata hai,
Aur
thak kar phir jo bhi mile,
usme jhoothe muskurata hai
usme jhoothe muskurata hai
Zindegi
ne kuchh soch kar,
dheere se phir mujhse kaha,
dheere se phir mujhse kaha,
Tu
chahaton ko chhod de,
aur dekh sab kuchh hai tera
aur dekh sab kuchh hai tera
Tu khwaishon ke dhund se,
nikal ke saath chal zara
Hai Zindegi ye khushnuma,
hai Zindegi ye khusnuma...
hai Zindegi ye khusnuma...
0 Comments:
Post a Comment
<< Home